Polaroid


Bewafai Shayari

Bewafai Shayari-Bhangu.Xtgem.CoM

PAGE=14

Rulaoge Hum Ko
By : Gagan (Views : 1060)

Rulaoge hum ko tadpaoge hum ko,
Rulaoge hum ko tadpaoge hum ko,
Kya hoga tumhara,
Jab gairon ki baahon mein paoge hum ko.

 

BEWAFA
By : Gagan (Views : 1206)

NEEND NE BHI TERI HI ADAA PAAYI,
BEWAFA RAAT BHAR NA AAYI.

 

Hame Kehte Kehte Khud Kya Ho Gaye!
By : Gagan (Views : 859)

Kabhi pass aa gaye,
Kabhi durr ho gaye,
Unhone ek baar bhi mudd kar na dekha hame,
Par hum unn ke liye bewafa zarur ho gaye,
Kya galti hui hum se hum puchte rahe,
Aur woh kehte rahe hum majboor ho gaye,
Hum mangte rahe dua unki khushiyon ki,
Wo hume chodh kisi aur ki aankhon ke noor ho gaye,
Wo sochte rahe ke khush hain hum,
Par hum toot kar andar tak chakna choor ho gaye,
Mujhe pyar karne ki mili itni badi saza,
Aur wo hume maar kar bhi bekasur ho gaye,
Aaj bhi kai sawaal hain iss dil mein,
Pyar ka gam bezubaan hai is dil mein,
Kuch keh nahi paata yeh dil magar,
Uss bewafa ke liye aaj bhi pyaar hai is dil mein!!

 

KAL SHAAM
By : Gagan (Views : 808)

APNA SAMAJH KAR HUM JIS KE LIYE UJAD GAYE.
KAL SHAAM JAA RAHA THA KISI AJNABI KE SAATH.

 

Kaaash !
By : Gagan (Views : 1035)

Kaash ! hamein bhi aisi kismat mili hoti,
Hamare khatir bhi unhe fursat hoti,
Abhi to lutaya thhaa mohabbat ko unn par,
Khud ko bhi luta dete agar,
Pyaar ke badale pyaar ki kimat mili hoti.

Chaand Ki Aarzoo
By : Gagan (Views : 915)

Karni thhi bewafaai to pehle hi bata dete,
Yeh duniya bahut badi hai,
Kisi aur se dil lagaa lete.

Dil kise doon mila naa iss qabil koi mujhe,
Kyun naa usse doon jisney diya hai mujhe.

Kya karte ? Khuda ne taqdeer mein tuta tara bhi nahi likha,
Aur ek hum hain ke chaand ki aarzoo kiya karte hain.

 

Kaun Saani ?
By : Gagan (Views : 622)

Dard jab dawaa ban jaye to kaun saani,
Zehar jab Gagana ban jaye to kaun saani,
Kuch log apne ban ke aaye thhe zindagi mein,
Jab apne hi dagaa kar jaye to kaun saani.

 

Kissi Aur Ke Saath
By : Gagan (Views : 839)

Uss ko kissi aur ke saath,
Dekh kar dil jalta hai,
Uss ki rah dekhti rehti hoon din bhar,
Magar wo kisi aur raaste,
Se nikalta hai,
Dil ko samjhana aasaan nahi,
Ki har shakhs iss duniya mein rang badalta hai.

 

Main Kya Karoon
By : Gagan (Views : 718)

Yeh zindagi jab bewafaa hai,
Tujh se shikwaa kyun karoon,
Yeh chot sahil par lagi hai,
Guftgoo lehron se kyun karoon,
Khwaab ki maanind bikhari har khushi,
Shikayat sapnon se kyun karoon,
Dariya bhi dard ke rukte nahin,
Ab tere pehlu mein aa ke kya karoon,
Toot ke bikhari saawan mein chahat,
Kismat ke fariston se mohabbat kyun karoon,
Bedili jo do thookraa naa doo,
Zindagi ke jhoote falsafey,
Ab bata eh bewafaa iss waqt mein kya karoon.

 

Bewafa Bhi Kaha Jaata Nahi.
By : Gagan (Views : 1019)

Usne kabhi meri baaton par na kiya gaur tha,
Chhod kar chal diye hum ko,wo ajeeb daur tha,
Barson intezaar kiya to laut kar naa aaye,
Wo tab aaye jab meri zindagi mein koi aur tha.

Tera Chehra.
By : Gagan (Views : 961)

Tera chehra in aankhon se bhulaya bhi nahi jaata,
Aise khela hai iss dil se bataya bhi nahi jaata,
Tera aana,chale jaana,mohabbat mein yoon tadpaana,
Kis se sikha mere saathi,kar ke waada mukar jaana,
Tumne likha jo iss dil pe mitaya bhi nahi jaata,
Sunayein bhi kisi ko kya,batayein bhi kisi ko kya,
Sabhi ko ishq ne loota, koi gam se bacha hai kya,
Chhupayein kaise dil mein gam chhupaya bhi nahi jaata,
Tera chehra in aankhon se bhulaya bhi nahi jaata.

 

Teri Aankhon Ke Aansoo Ki Kya Keemat Wasool Karoon Main,
By : Gagan (Views : 1214)

Teri aankhon ke aansoo ki kya keemat wasool karoon main,
Tujhe rulanay walay say kya sulook karoon main.

Hain tere apnay hi tere dushman,
Warna tera naam bhi lene walay ko mita diya karoon main.

Kyon tere aansoo dekh nahi pata main,
Tu jo ro de to duniya ko rula diya karoon main.

Tere zakham kya mere nahi hain,
Dil kare tere har zakham ko bhar diya karoon main

Dil chahe tujhe har khushi diya karoon main,
Duniya ki sari nafraton ko mohabbat mein badal diya karoon main.

Har giz na kar payengay mujhe tuhj se door zamaane walay,
Tere ek pukaar par sari doorian mita diya karoon main.

Tere aankhon ke aansoo ki kya keemat wasool karoon main,
Tujhe rulanay walay say kya sulook karoon main.

 

Chali Gayi Tum Rooth Achanak
By : Gagan (Views : 984)

Kitni lagan aur nishtha se
Mai to paas tumhare aaya
Kitne kasht uthhaye maine
Hirdaya tumhara samjh na paya
Pidit pahle se hi tha main
Tumne mere dukh badhaye
Chali gayi tum rooth achanak
Koi karan bina bataye
Koi dhayan diya kab tumne,
Kabhi Vivshta par bhi meri
Karne me prasthan yaha se
Zara na lagai thodi deri
Jate samay na tumne koi
Zara apna pan na dikhaya,
Chale gaye tum rooth achanak
Koi karan bina bataye
Main to rakhta tha tum se Aasha
Karte tum Upchaar humara
De dete tasilli zara si
Keval apne vachno dwara
Tumne dekh durdasha meri
Dhang doosre hi apnaye
Chali gayi tum rooth achanak
Koi karan bina bataye.

 

Na Tum Khali Na Hum Khali
By : Gagan (Views : 815)

Unhe bhi door jana tha,
Hum bhi apne gum se kab khali,
Chalo bahut ho chuka ab milna.
Na tum khali na hum khali.

 

*~Mujhay Yaad Karogay...~*
By : Gagan(Views : 1211)

Tum aur kitna mujhay ishq may barbaad karogay...
Qareeb hai waqt-e-judayi phir Mujhay yaad karogay...
Abhi to har baat zamanay ki maantay ho...
Kabhi dil ki sunogay to Mujhay yaad karogay...
Jiss piar se dekhti hoon teray chehray ko...
Kabhi khud ko aayenay may dekhogay to Mujhay yaad karogay...
Aaj jin rahon pe tera manzar banay baithi hoon...
Unhi rahon jo guzraygo to Mujhay yaad karogay...
Kitnay maasoom ho kar kehtay ho mujhay bhool jaogay...
Magar kuch arsa bhoolnay se pehlay to "Mujhay Yaad Karogay"

Zaalim Haseena
By : Gagan(Views : 1076)

Phoolon ke shehar mein rehne vali tujhe kantoon ka andaza nahi,
Gamoon ki bahaar se guzar raha hoon main,
Mujhe khusheoon ka andaza nahi.

 

Yaadein Wo Nahi
By : Gagan (Views : 1552)

Yaadein wo nahi jo tanhai mein aati hain,
Yaadein wo nahi jo tanhai mein aati hain,
Yaadein wo hain jo BHID me TANHA kar jati hain.

 

Aap Gair Nahi Par Apne Se Bhi Nahi Lagte
By : Gagan (Views : 1384)

Aaa jaye tu kisi din aisa bhi nahi lagta,
Lekin tera wo wada jhuta bhi nahi lagta.

Milta hai sukuoon dil ko yaar ke kooch se,
Par iss tarah jana bhi achhaa nahi lagta.

Jab se dekha hai aap ko baichen sa hai yeh dil,
Par yeh kehne ko aap se koi rishta bhi nahi lagta.

Iss baare mein katil soche bhi to kya soche,
Wo gair to nahi hain,par apne se bhi nahi lagte.

Aaa jaye tu aisa bhi nahi lagta,
Lekin diya hua tera wada jhuta bhi nahi lagta.

 

Wajah
By : Gagan (Views : 1858)

Jeene ko jiye ja rahe hain,
Peene ko peeye ja rahe hain,
Koi bataye jaa kar mere mehboob ko,
Kabhi jeene ki wajah thay wo,
Aaj pee rahan hoon main,wajah bhi wo saza bhi wo.

 

Rooth Gaye
By : Gaganl (Views : 1871)

Zindagi rooth gayi humse,
Unka saath chhut gaya humse,
Ab to aansoo bhi nahi aate,
Kya wo bhi rooth gaye humse.

Unke Chaahne Waalon Ke Naamon Mein
By : Gagan (Views : 1893)

Likhte thay hum jinke haseen hasi ki yaadon mein,
Aana dushwaar hai muddat se, un ke humare khwaabon mein,
Hai wo khafa hum se,
Ya to hai wo bewafa dil se,
Ya shaayad na rahe, hum unke chaahne waalon ke naamon mein.

 

Zakham Phoolon Se
By : Gagan (Views : 4431)

Jab kisi ko kareeb paya hai,
Kasam khuda ki sirf wohi dhoka khaya hai.

Kyun dosh dete ho kanton ko,
Are bhai,kyun dosh dete ho kanton ko,
Yeh zakham to humne phoolon se paya hai.

 

Tanhayee Dhundoge
By : Gagan (Views : 3462)

Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko,
Chalega mehfil mein jab zikr hamara koi,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.

 

Jis Ne Kiya Tha Hum Se Vaada Ehd-E-Wafa Nibhaane Ka
By : Gagan (Views : 2240)

Jis Ne Kiya Tha Hum Se Vaada Ehd-E-Wafa Nibhaane Ka,
Wo hi Keh Gayi Aaj Mujhe Bhool Jaane Ka,
Bhule Se Bhi Hum Ne Agar Bhula Diya Us Ko,
Rula De Ga Humein Wo Andaaz Us Ke Muskurane Ka.

 

Jal Gaye Mere Saare Armaan
By : Gagan (Views : 4446)

Jal gaye mere saare armaan,
Saari khushiyan ho gayi hain dhuaan,
Jis chiraag se roushan karna chahte thay,
Usi se ghar jal gaya, ab jaaye to jaaye kahan,
Nahi hai koi aur duniya, nahi hai koi aur duniya.


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter